mamnun hi raha us but-e-kafir ki jafa ka
shikva na kiya dil ne kabhu shukr khuda ka
aaza ke tanasub ka na varafta ho itna
ankhen hain to rah hairati andaz o ada ka
har dam hai hadaf navak-e-bedad ka teri
patthar ka kaleja hai magar ahl-e-vafa ka
tabut hi dekha na mira aankh utha kar
kya sharm hai kushta huun main us sharm o haya ka
paas us ke bana diijo miri aankh bhi naqqash
gar khinche hai tu naqsh-e-rukh us hur-liqa ka
kis tarah main ab sar pe bhala khaak na dalun
dekhun huun nishan dar pe tiri sad kaf-e-pa ka
kis bekasi ki marg hai ‘rasikh’ ka bhi marna
naash us ki pe koi na hua mahv aza ka
Leave a Reply