malal-e-dil se ilaj-e-gham-e-zamana kiya
ziya-e-mehr se raushan charagh-e-khana kiya
sahar hui to vo aae laton ko chhatkate
zara khayal-e-pareshani-e-saba na kiya
hazar shukr ki ham maslahat-shanas na the
ki ham ne jis se kiya ishq valehana kiya
vo jis ke lutf men beganagi bhi shamil thi
usi ne aaj guzar dil se mahramana kiya
vo bazm-e-harf ho ya mahfil-e-sama-e-khayal
jahan bhi vajd kiya ham ne be-tarana kiya
Leave a Reply