majma.a mire hisar men sailaniyon ka hai
jangal huun mera farz nigahbaniyon ka hai
qatre gurez karne lage raushna.i ke
qissa kisi ke ḳhuun ki arzaniyon ka hai
ḳhush-rang pairahan se badan to chamak uThe
lekin saval ruuh ki tabaniyon ka hai
rone se aur lutf vafaon ka baḌh gaya
sab za.iqa phalon men na.e paniyon ka hai
sau bastiyan ujaḌiye dil ko na toḌiye
ye sang-e-mohtaram ka.i peshaniyon ka hai
mahfuz rah sakenge safine kahan talak
maujon men band-o-bast hi tughyaniyon ka hai
hoti hain dastiyab baḌi mushkilon ke ba.ad
‘shahid’ hayat naam jin asaniyon ka hai
Leave a Reply