mah-ru nikle hai nit ujli tarah
is sabab raushan hai dil putli tarah
sun mira rona hua tuk mehrban
yaar ne barsat men badli tarah
ghamza ki shamshir chamkata hai vo
kyuun na ho dil muztarib bijli tarah
machchhi deta naiin mujhe vo bahr suun
chhod di us ne magar agli tarah
kyuun mire aage akad chalta hai aaj
mujh ko bhuli naiin tiri pichhli tarah
sar-nigun hai sarv-qad ki fikr men
bed ne majnun ki sab laili tarah
ishq ne aa kar pachhada dil katin
gurg niin aahu siin ki jangali tarah
mujh divane ki nazar men ai pari
taash aur kamkhab hai kamli tarah
gaali de kar muskurata hai vo shokh
‘mubtala’ ab yuun nai nikli tarah
Leave a Reply