main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin
aks to mujh par palaT kar vaar kar sakta nahin
aa.ina zahir to kar sakta hai ḳhadd-o-ḳhal ko
aa.ina ehsas ka iz.har kar sakta nahin
meri chahat aur hai mere masa.il aur hain
ḳhud ko main har baat par tayar kar sakta nahin
ḳhud se samjhauta kiya hai zindagi ke naam par
is se baḌh kar zindagi ko pyaar kar sakta nahin
ya to apne jism ki had se nikalna chhoḌ de
saaya hai to dhuup se inkar kar sakta nahin
kashtiyan bhi chahiye aur naḳhuda bhi chahiye
tu samundar tair kar to paar kar sakta nahin
is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhoḌ de
raste ko tu agar hamvar kar sakta nahin
Leave a Reply