Main Yun to KHwab Ki Tabir Sochta Bhi Nahin

maiñ yuuñ to ḳhvāb kī ta.abīr sochtā bhī nahīñ

magar vo shaḳhs mire rat-jagoñ kā thā bhī nahīñ

mirā nasīb vo samjhā na baat ishāroñ kī

mirā mizāj ki maiñ saaf kah sakā bhī nahīñ

baḌī girāñ hai mirī jaañ ye kaifiyat mat pūchh

ki in laboñ pe gila bhī nahīñ duā bhī nahīñ

ye zindagī ke ta.āqub meñ roz kā phirnā

agarche is tarah jiine kā hausla bhī nahīñ

ye be-niyāz tabī.at ye be-ḳhudī ke rañg

ham apne aap se ḳhush bhī nahīñ ḳhafā bhī nahīñ

us ek shakl ko jis din se kho diyā hai ‘asad’

mire darīche se ab chāñd jhāñktā bhī nahīñ

Leave a Comment