main vaqt ki aabju se aage nikal gaya huun
so dahr ki ha-o-hu se aage nikal gaya huun
main be-shari.at taharaton ki talash men tha
main ba-shari.at vuzu se aage nikal gaya huun
tu janta hai ki mera vijdan vajd men hai
tu janta hai main tu se aage nikal gaya huun
main raqs karte hue tahajjud ki sa.aton men
ibadaton ke ghulu se aage nikal gaya huun
na-jane kis ka.enat men paaon rakh diye hain
main rat-din ki numu se aage nikal gaya huun
abas hain sab alam-e-tahayyur miri nazar men
main alam-e-justuju se aage nikal gaya huun
main is jahan-e-qaba-darida ka baḳhiya-gar tha
magar main kar-e-rafu se aage nikal gaya huun
mujhe na.i shakl ki zamin par hai baat karni
main baizavi guftugu se aage nikal gaya huun
miri ajal ki bhi maut ijad ho ga.i hai
main saans lete lahu se aage nikal gaya huun
mujhe nahin apne raḳht-e-hasti ki fikr ‘vasif’
main hast ki aarzu se aage nikal gaya huun
Leave a Reply