avval to tire kuche men aana nahin milta
aauun to kahin tera thikana nahin milta
milna jo mira chhod diya tu ne to mujh se
khatir se tiri saara zamana nahin milta
aave to bahane se chala shab mire ghar ko
aisa koi kya tujh ko bahana nahin milta
kya faeda gar hirs kare zar ki tu nadan
kuchh hirs se qarun ka khazana nahin milta
bhule se bhi us ne na kaha yuun mire haq men
kya ho gaya jo ab vo divana nahin milta
phir baithne ka mujh ko maza hi nahin uthta
jab tak ki tire shane se shana nahin milta
ai ‘mushafi’ ustad-e-fan-e-rekhta-goi
tujh sa koi aalam ko main chhana nahin milta
Leave a Reply