main tumhen phuul kahun tum mujhe ḳhushbu dena
mere baazu men zara pyaar se baazu dena
aarzu chand ki hai zarf se baḌh kar lekin
teri fayyazi ki tauhin hai jugnu dena
har qadam mujh ko charaghon ki zarurat hogi
aap to zad-e-safar men mujhe aansu dena
sabr ta.amir ki buniyad hai rabba mere
mujh ko biphre hue jazbat pe qaabu dena
apne a.amal ki tausif men masruf hai vo
ahl-e-insaf zara us ko tarazu dena
Leave a Reply