• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main to Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha

Main to Tanha Tha Magar Tujhko Bhi Tanha Dekha

main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha

apni tasvir ke pichhe tira chehra dekha

jis ki ḳhushbu se mahak jaa.e shabistan-e-visal

dosto tum ne kabhi vo gul-e-sahra dekha

ajnabi ban ke mile dil men utarta jaa.e

shahr men koi bhi tujh sa na shanasa dekha

ab to bas ek hi ḳhvahish hai ki tujh ko dekhen

saari duniya men phire aur na kya kya dekha

koi surat bhi shanasa nazar aa.i na hamen

ghar se nikle to ajab shahr ka naqsha dekha

is qadar dhuup thi sanvla ga.e raḳhshan chehre

jalte suraj ka magar rang bhi piila dekha

peḌ ka dukh to koi puchhne vaala hi na tha

apni hi aag men jalta hua saaya dekha

the andheron ke ta.aqub men ujale kya kya

ḳhud tamasha the ‘jamil’ aur tamasha dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Ek Rangin Khwab Hai duniya

Mere Dukh Ki Dawa Bhi Rakhta Hai

Fasad-E-Qalb-O-Nazar Hasil-E-Tamasha Dekh

Dasht Ke KHas Hawale Nazar Aate Hain Mujhe

Kuchh Der Meri KHak uDi Hai Meri Jagah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet