ek na-maqbul qurbani huun main
sar-phiri ulfat men la-sani huun main
main chala jaata huun vaan taklif se
vo samajhte hain ki la-sani huun main
kaan dharte hi nahin vo baat par
kab se masruf-e-sana-khvani huun main
zindagi hai ik kirae ki khushi
sukhte talab ka paani huun main
mujh se badh kar kya koi hoga amiir
qimti virse ki arzani huun main
chandni raton men yaron ke baghair
chandni raton ki virani huun main
kahna sunna un se mujh ko kuchh nahin
sirf ik tamhid-e-tulani huun main
mujh ko pachhtana nahin aata ‘adam’
ek daulat-mand nadani huun main
Leave a Reply