aaj to nahin milta or-chhor dariya ka
tu bhi aa ke sahil par dekh zor dariya ka
mera shor-e-gharqabi ḳhatm ho gaya aḳhir
aur rah gaya baaqi sirf shor dariya ka
mere jurm-e-sada par tishnagi bhi hansti hai
ek ghunT paani par main huun chor dariya ka
mor aur bhanvar donon mahv-e-raqs rahte hain
ye bhanvar hai jangal ka vo hai mor dariya ka
Leave a Reply