main sochta to huun lekin ye baat kis se kahun
vo aa.ine men jo utre to main sanvar ja.un
ḳhud apne aap se vahshat si ho rahi hai mujhe
bichhaḌ ke tujh se main ik mustaqil azaab men huun
har ek lamha bhanvar hai har ek pal tufan
kahan tak aur main sahil ki justuju men baḌhun
mire vajud ne kya kya libas badle hain
kahin charagh kahin raste ka patthar huun
hava ke dosh pe huun misl-e-barg-e-avara
ab aur kya kahun ‘anjum’ men apna hal-e-zabun
Leave a Reply