main sach ko chhupane ka hunar siikh raha huun
kartab zara mushkil hai magar siikh raha huun
raftar-e-ravani men kabhi paanv na roke
ab kaise nibhani hai Thahar siikh raha huun
rishta simaT rahe hain badan phail raha hai
dehat se dilli ka safar siikh raha huun
main astin se un ko to be-ghar na kar saka
kaise utarna hai zahar siikh raha huun
palkon ka bandh TuuT ke sailab na kar de
kis tarah kaTte hain nahar siikh raha huun
us ne dikha.i aankh to main ne di galiyan
kuchh roz se main taur-e-shahar siikh raha huun
urdu zaban bhi ghar ki zaban hi to hai huzur
itna ajiib kya hai agar siikh raha huun
Leave a Reply