main ro ke aah karunga jahan rahe na rahe
zamin rahe na rahe asman rahe na rahe
rahe vo jan-e-jahan ye jahan rahe na rahe
makin ki khair ho ya rab makan rahe na rahe
abhi mazar par ahbab fatiha padh len
phir is qadar bhi hamara nishan rahe na rahe
khuda ke vaste kalma buton ka padh zahid
phir ikhtiyar men ghafil zaban rahe na rahe
khizan to khair se guzri chaman men bulbul ki
bahar aai hai ab ashiyan rahe na rahe
chala to huun pae izhar-e-dard-e-dil dekhun
huzur-e-yar majal-e-bayan rahe na rahe
‘amir’ jama hain ahbab dard-e-dil kah le
phir iltifat-e-dil-e-dostan rahe na rahe
Leave a Reply