Taj-E-Zarrin Na Koi Masnad-E-Shahi Mangun

tāj-e-zarrīñ na koī masnad-e-shāhī māñgūñ

maiñ to bas apne hī hone kī gavāhī māñgūñ

mujh ko suqrāt kā mansab nahīñ hāsil karnā

kyā maiñ sach bol ke apnī hī tabāhī māñgūñ

haar jā.ūñgā to miTTī ke qadam chūmūñgā

girtī dīvār se kyā pusht-panāhī māñgūñ

zeb detā hai mire tan pe faqīrī kā libās

kisī darbār se kyā ḳhil.at-e-jāhī māñgūñ

merī vahshat ko ye sahrā kī masāfat kam hai

sair ke vāste kuchh aur fazā hī māñgūñ

tīrgī meñ abhī itnā to nahīñ Duubā huuñ

ki na.e din ke ḳhazāne se bhī syāhī māñgūñ

Leave a Comment