main kya kahun ki ye kyunkar udaas rahta hai
tumhare baad to dil mahv-e-yas rahta hai
main kya karunga bhala ziist bin tire janan
kahin rahun main ye dil bad-havas rahta hai
na-jane kaise aziyyat sameTta hi raha
vafa-shanas jo dil ki asaas rahta hai
main kyon kahun ki main tanha huun hijr ka maara
vo ban ke ḳhushbu yahin as-pas rahta hai
main ban ke us ki tamanna uḌa phirun tanha
vo ban ke meri vafa ka libas rahta hai
Leave a Reply