main kam-sini ke sabhi khilaunon men yuun bikharta javan hua tha
dila main tere hasin ḳhayalon se Darta Darta javan hua tha
mujhe sitaron ki gardishon se Dara.ega kya nasib mera
ki main bagulon ke saath sahra men raqs karta javan hua tha
baḌa ta.ajjub hai teri ankhon ki ik tajalli se jal gaya huun
vagarna sho.alon ki aankh par main gira guzarta javan hua tha
usi kahani ne rang di hai miri javani ki har nishani
main jis kahani men zindagani ke rang bharta javan hua tha
jo aaj siine ke ek kone men ḳhamushi se paḌa hua hai
ye dil surayya ke paar duniya men paanv dharta javan hua tha
nahin achambhe ki baat koi jo tujh pe ‘mumtaz’ mar miTa hai
ye shaḳhs pahle bhi teri paa.el pe marta marta javan hua tha
Leave a Reply