main jis jagah huun vahan bud-o-bash kis ki hai
mire badan ke kafan men ye laash kis ki hai
tujhe ḳhayal men la kar gul-o-nujum ke saath
ye dekhna hai ki achchhi tarash kis ki hai
ḳhayal-o-ḳhvab ki galiyon men bhi hai virani
miri udaas nazar ko talash kis ki hai
tumhara kaam nahin to phir intizam hai kya
dil-o-jigar pe ye ek ik ḳharash kis ki hai
jo aap apni hi pasmandagi pe naaz kare
main ḳhud nahin to ye tarz-e-ma.ash kis ki hai
Leave a Reply