main huun zinda bas is fasane tak
yaad aane se bhuul jaane tak
tum ana men ganva rahe ho magar
mujh ko DhunDoge tum zamane tak
ḳhud bhi apna vaqar kho doge
mujh ko ta-der azmane tak
apna daman na tum jala baiTho
dekhna mera dil jalane tak
hausla hai mujhe satane ka
ro na dena mujhe rulane tak
zindagi kya hai kab ḳhabar thi mujhe
zindagi men tumhare aane tak
Leave a Reply