main hi nahin huun barham us zulf-e-kaj-ada se
Tuk munh tira jo paa.en uljhen abhi hava se
tum ne nikalne men kuchh kam na kiin jafa.en
ab tak jo tham rahe hain ham apni hi vafa se
pahli nigah men dil par barchhi si lag ga.i hai
pahunche the intiha ko ham us ki ibtida se
rakhna qadam zamin par Tuk dekh kar pyare
dil raah men paḌe hain lakhon ke naqsh-e-pa se
ja ai tabib yaan se itna nahin samajhta
bimari-e-mohabbat kis ki ga.i dava se
main ashiq-e-bala huun karta huun us ko sajda
ḳhak-e-qadam ko us ki jo aao karbala se
mash.hur thi buzurgi un ki sabhon se lekin
apne ta.iin ta.aruf chandan na tha ziya se
aksar gali se us ki dekha tha main ne jaate
ho ga.e the is sabab se kuchh surat-ashna se
kal un ko main ne dekha sar nange pa-barahna
jaama jo hai gali men sau TukḌe ja-ba-ja se
dar-parda yuun main un se puchha ki qibla-e-man
kyuun aaj is qadar hain azurda-o-ḳhafa se
mahjub se vo ho kar kahne lage na puchho
mar jaa.en ya ilahi chhuTen kahin bala se
ye turfa majra hai ik ja pe dil diya hai
par qahr hain vahan ke launDe zara zara se
itni si umr men ye ayyariyan hain karte
lete hain dil ko pahle de de bahut dilase
jab dekhte hain aaya ab iḳhtiyar men dil
jo dekhiyo to phir pesh aate hain is ada se
main ne kaha ki hazrat aap apni tarf dekhen
jo in buton se hoga so hoga vo ḳhuda se
be-iḳhtiyar ho kar bole ki sach hai sahab
vaqif nahin hue ho ishq-e-havas-faza se
dariya ke rahne vaale kya janen is asar ko
paani ki qadr puchho un se jo hain piyase
Leave a Reply