main ghazal ka harf-e-imkan masnavi ka ḳhvab huun
apni sab rudad likhne ke liye betab huun
main babulon ki tarah phula-phala huun dasht men
abr aa.e ya na aa.e main sada shadab huun
mauj-e-sahba huun agar hai zarf yaran aa.ina
kuchh ghubar aa.e nazar to sar-ba-sar girdab huun
main huun ik viran sitara-gar hai koi na-shanas
koi hai raushan-nazar to chashma-e-mahtab huun
kya samajh kar mujh se uljhe hain ‘hasan’ lail-o-nahar
aap apna roz-o-shab huun aap alam-tab huun
Leave a Reply