main ek harf ma.ani ka ek daftar vo
main ek mauj-e-sarab-e-junun samundar vo
tamam sabit-o-sayyar us ke halqa-ba-gosh
ye ka.enat hai ik da.era to mehvar vo
tamam mumlikaten us ke hi qalam-rau main
sab us ke zer-e-nagin bahr-o-bar ka davar vo
saron pe ahl-e-karam ke hai abr rahmat ka
sitam-garon ke liye qahr ka hai lashkar vo
kahin hai din ki tapish men shajar shajar saaya
kahin hai shab ke andhere men mah-o-aḳhtar vo
koi madad ko na aa.ega aisi manzil hai
panah jaan ko milegi agar hai rahbar vo
phir us ki hamd-o-sana kis tarah likhi jaa.e
hudud-e-lafz-o-ma.ani se jab hai bahar vo
kitab-e-din ki takmil ho chuki ‘mohsin’
zamin pe bhej chuka aḳhiri payambar vo
Leave a Reply