
Siddique Mujibi
main bhi avara huun tere saat avara hava
la tu mere haath men de haat avara hava
jangali phulon ki ḳhushbu raqs sarshari shabab
nazr kar mujh ko bhi kuchh saughat avara hua
ek sarshari hai jism o ruuh par chha.i hui
reza reza asman barsat avara hava
us ḳharabe men bhi ik jannat bana li hai jahan
ek main huun ik ḳhuda ki zaat avara hava
yaad aata hai kapasi badalon ka sa.eban
jagmagate manzaron ki raat avara hava
be-panahi zehn ki qindil-e-danish bhi siyah
ru-ba-ru hadd-e-nazar zulmat avara hava
dil ke darvaze se lag kar chup khaḌa rahta hai gham
kis se kahiye apne ji ki baat avara hava
sar-kashi zinda rahe lekin ‘mujibi’ soch le
ek musht-e-ḳhak ki auqat avara hava

Leave a Reply