ghar se ye soch ke nikla huun ki mar jaana hai
ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai
jism se saath nibhane ki mat ummid rakho
is musafir ko to raste men thahar jaana hai
maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukar
main yahi soch ke zinda huun ki mar jaana hai
nashsha aisa tha ki mai-khane ko duniya samjha
hosh aaya to khayal aaya ki ghar jaana hai
mire jazbe ki badi qadr hai logon men magar
mere jazbe ko mire saath hi mar jaana hai
Leave a Reply