main apne ḳhvab men kuchh ḳhaak men milati huun
na jaane ḳhaak se aisa main kya uThati huun
sitare bhar ke main daman men jab bhi laati huun
tumhari raah men phir shauq se bichhati huun
ki pyaas dekh rahe hain ye tishna-lab mere
main ashk piiti huun aur tishnagi miTati huun
zamane bhar se vo mujh ko hasin lagta hai
zamane bhar se yahi baat main chhupati huun
kabhi kabhi to mujhe yaad tak nahin rahta
ki chand jalta hai shab men ya dil jalati huun
main likh rahi huun mohabbat pe ek nazm magar
kabhi main likhti huun us ko kabhi miTati huun
karo ye va.ada ki mujh se ḳhafa nahin hona
main manti huun ki main baat ko baḌhati huun
fasane likhti huun main gham-zada mohabbat ke
main dard likhti huun aur dard hi kamati huun
Leave a Reply