main aa raha tha sitaron pe paanv dharte hue
badan utaar diya ḳhaak se guzarte hue
jamal mujh pe ye ik din men to nahin aaya
hazar a.ine TuuTe mire sanvarte hue
ajab nazar se charaghon ki samt dekha hai
hava ne zina-e-pindar se utarte hue
ik-adh jaam to pi hi liya tha ham ne bhi
ḳhumar-e-ḳhana-e-duniya ki sair karte hue
na jaane kya dil-e-sayyad men ḳhayal aaya
vo ro diya tha mire bal-o-par katarte hue
ab asman bhi kam paḌ rahe hain us ke liye
qadam zamin par rakkha tha jis ne Darte hue
vahi sitara sitaron ka hukmaran Thahra
laraz raha tha jo pahli zaqand bharte hue
vo aa.ina tha main tariq-‘na.im’ TuuT ke bhi
hazar aks banata gaya bikharte hue
Leave a Reply