mai-ḳhana hai bina-e-shar-o-ḳhair to nahin
ai shaiḳh-o-barahman haram-o-dair to nahin
qasid ko tak raha huun baja.e javab-e-ḳhat
kambaḳht ye na kah de kahin ḳhair to nahin
apnon ka shikva kis liye aa.e zaban par
ahbab ke sitam sitam-e-ghair to nahin
aapas men kyuun hain bar-sar-e-paikar ahl-e-shahr
dekho yahan kahin haram-o-dair to nahin
ai shaiḳh sirf shikva-e-pindar zohd hai
varna mujhe janab se kuchh bair to nahin
mahv-e-ḳhiram ghuncha-o-gul dekh-bhal kar
pamali-e-bahar hai ye sair to nahin
banda-navaz aap aur izhar-e-shukriya
‘ejaz’ aap ka hai koi ghair to nahin
Leave a Reply