mahshar men chalte chalte karunga ada namaz
padh lunga pul-sirat pe ‘mail’ qaza namaz
sar jaae umr bhar ki ho yarab ada namaz
aae miri qaza to padhun main qaza namaz
mangi najat hijr se to maut aa gai
roze gale pade jo chhudane gaya namaz
dekho ki phans na jaaen farishte bhi jaal men
kyuun padh rahe ho khol ke zulf-e-rasa namaz
har ik sutun khana-e-shar-e-sharif hai
roza ho ya zakat ho ya haj ho ya namaz
ye kyuun khamida hai sifat-e-sahab-e-ruku
kya padh rahi hai dosh pe zulf-e-dota namaz
niyyat jo bandh li to chala main huzur men
rahbar miri namaz miri rahnuma namaz
saaqi qayam se ye jo aaya rukua men
shisha khuda ke khauf se padhta hai kya namaz
uth uth ke baith baith ke karta hai kyuun ghurur
zahid kahin badhae na teri riya namaz
arkan yaad hain mujhe ai davar-e-jaza
gar hukm ho to samne padh luun qaza namaz
shaitan ban gaya hai farishta ghurur se
kya faeda hua jo padhi ja-ba-ja namaz
le jaate hain mujhe su-e-dozakh kashan kashan
roze mire idhar hain udhar hai qaza namaz
haqq-ul-yaqin ka naam uruj-e-maqam hai
padhte hain auliya sar-e-dosh-e-hava namaz
masjid men panch vaqt dua vo bhi vasl ki
‘mail’ buton ke vaste padhte ho kya namaz
Leave a Reply