tu bhi taqdir nahin dard bhi painda nahin
tujh se vabasta vo ik ahd vo paiman-e-vafa
raat ke akhiri aansu ki tarah duub gaya
khvab-angez nigahen vo lab-e-dard-fareb
ik fasana hai jo kuchh yaad raha kuchh na raha
mere daman men na kaliyan hain na kante na ghubar
shaam ke saae men vamanda sahar baith gai
karvan laut gaya mil na saki manzil-e-shauq
ek ummid thi so khak-basar baith gai
ek do-rahe pe hairan huun kis samt badhun
apni zanjiron se azad nahin huun shayad
main bhi gardish-e-gah-e-ayyam ka zindani huun
dard hi dard huun fariyad nahin huun shayad
zer-e-mizhgan tapish-e-ah ke pighlae hue
dabdabate hue taron se mujhe kya lena
tere aansu mire daghon ko nahin dho sakte
tere phulon ki baharon se mujhe kya lena
apne anjam ki tashvish ab ainda nahin
Leave a Reply