mahfil-e-naz se main ho ke pareshan uTha
baiThne bhi nahin paaya tha ki tufan uTha
zid na kar ai dil-e-nashad, kaha maan uTha
ghar men rahne ka Thikana nahin saman uTha
ban ravadar ye apnon ki shikayat kaisi
naam isi ka to muravvat hai ki nuqsan uTha
sab sitare nahin is rahguzar ke zarre
dil ke TukḌe bhi inhin men to hain pahchan, uTha
Thokaren kha ke musibat ki samajh to aa.i
aadmi ban to gaya, chaunk to insan uTha
maslahat vaqt ki aaj aur hai ai bada-farosh
kal ki kal sochenge is vaqt to dukkan uTha
aise bohtan laga.e ki ḳhuda yaad aaya
but ne ghabra ke kaha mujh se ki qur.an uTha
aaj hai kis liye aisa tira andaz-e-hijab
ajnabi kaun hai mahfil men pakaḌ kaan uTha
dekh ye baar kabhi sar se utarta hi nahin
zindagi bhar ki musibat hai na ehsan uTha
sher-goi na.e andaz ki tajdid-e-ḳhayal
dekhna chahe to ‘natiq’ mira divan uTha
Leave a Reply