sanson ki TuuTi sargam men ik miTha svar yaad raha
yuun to sab kuchh bhuul gaya main par tera ghar yaad raha
yuun bhi koi milna hai jo milne ki ghaḌiyon men bhi
milne se pahle is zalim duniya ka Dar yaad raha
varna main bhi jhuk hi jaata zulm ki andhi chaukhaT par
achchha raha ki mujh ko apne sha.ir ka sar yaad raha
honTon se jo baat hui vo nil-gagan tak ja pahunchi
ankhon ne jo likkha dil par akhshar akhshar yaad raha
jis ke karan tyaag tapasya aur tap ko vanvas mila
soch raha huun ik raani ko kyuun aisa var yaad raha
Leave a Reply