• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Machlenge Un Ke Aane Pe Jazbaat sainkaDon

Machlenge Un Ke Aane Pe Jazbaat sainkaDon

machlenge un ke aane pe jazbat sainkaḌon

hans bolne ki hongi hikayat sainkaḌon

mayyat uThane koi bhi aaya na ba.ad-e-marg

sunte the zindagi men miri baat sainkaḌon

tum the to zindagi ka na koi saval tha

ab janm le rahe hain savalat sainkaḌon

kyuun us nigah-e-mast ki sab mangte hain ḳhair

abad aur bhi hain ḳharabat sainkaḌon

chamke jo tere nuur se din-rat the vahi

aane ko yuun to aa.e hain din-rat sainkaḌon

parda-navaz husn ke qurban ja.iye

ik ik hijab men hain hijabat sainkaḌon

vo baat koi bhi na kahega jo ham kahen

tum jo kaho kahenge vahi baat sainkaḌon

karte hain arz-e-vasl pe han-hun aji nahin

ya.ani saval ik hai javabat sainkaḌon

bante hain zindagi ke fasane unhin se ‘charḳh’

vo hain to zindagi ki rivayat sainkaḌon

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jin KHwahishon Ko Dekhti Rahti Thi KHwab Mein

Pahuncha Hun Aasman Pe Tujhe DhunDhta Hua

Nigah-E-Ishq Mein Tabindagi Nahin Milti

Mujhse Anjaan to Nahin Ho Tum

abdul-aziz-khalid

Main Baat Kaun Se Pairaya-e-Bayan Mein Karun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet