lubhata hai agarche husn-e-dariya dar raha huun main
sabab ye hai ki ik muddat kinare par raha huun main
ye jhonke jin se dil men tazgi ankhon men thandak hai
inhi jhonkon se murjhaya hua shab bhar raha huun main
tire aane ka din hai tere raste men bichhane ko
chamakti dhuup men saae ikatthe kar raha huun main
koi kamra hai jis ke taaq men ik shama jalti hai
andheri raat hai aur saans lete dar raha huun main
mujhe maalum hai ahl-e-vafa par kya guzarti hai
samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha huun main
Leave a Reply