log kyuun ham se shikayat ki tavaqqo rakhen
hain ḳhud-azar bhi itne ki sitamgar ro.en
ab to aati hain kuchh is tarah tumhari yaden
dhuup men jaise kisi chehre se badal guzren
matam-e-ghuncha men ro.e hain nadamat hai bahut
shiddat-e-gham men raha pas-e-tabassum na hamen
ab gham-e-dil ka safina hai ki dariya mange
aur ye rona hai ki aansu bhi nahin ankhon men
ham se lipTi hui talvar ho jaise yaaro
ik naya zaḳhm sulagta hai jo karvaT badlen
tujh ko dekha jo na hota to ḳhuda kah lete
ye bhi mushkil nazar aata hai ki patthar pujen
vo karam hai tira sanson men suna.i dena
ye sitam hai ki tujhe DhunDh rahi hain ankhen
‘hashami’ jism nazar aata hai suuli ki tarah
jab masiha ke liye pyaar se baazu kholin
Leave a Reply