
Hafeez Jaunpuri
likh de aamil koi aisa ta.aviz
yaar ho jaa.e gale ka ta.aviz
kab musaḳhḳhar ye hasin hote hain
sab ye be-kar hai ganDa-ta.aviz
na hua yaar ka ghussa ThanDa
bar-ha dho ke pilaya ta.aviz
sar se gesu ki bala jaati hai
laa.e to radd-e-bala ka ta.aviz
mar ke bhi dil ki taḌap itni hai
shaq hua meri lahad ka ta.aviz
har tarah hoti hai mayusi jab
log karte hain dua ya ta.aviz
aarzu ḳhaak men dushman ki mile
is liye dafn kiya tha ta.aviz
haath se apne jo likkha us ne
ham ne us ḳhat ko banaya ta.aviz
jis se aaya hua dil ruk jaa.e
koi aisa bhi hai laTka ta.aviz
dil pasija na kisi din un ka
roz likh likh ke jalaya ta.aviz
kaam lo jazb-e-mohabbat se ‘hafiz’
naqsh kya chiiz hai kaisa ta.aviz

Leave a Reply