le ke khud pir-e-mughan haath men miina aaya
mai-kasho sharm ki is par bhi na piina aaya
na pilana kisi mai-kash ko na piina aaya
tujh ko zahid agar aaya bhi to kiina aaya
umr-bhar khun-e-jigar baith ke piina aaya
arzuo tumhen marna hamen jiina aaya
dil ne dekha mujhe aur main ne falak ko dekha
bach ke sahil pe agar koi safina aaya
kisi badmast ki yaad aa gaiin ankhen saaqi
jab chhalakta hua aage mire miina aaya
ik zara si thi kabhi ki khalish us par ai hashr
dil men leta hua zahid vahi kiina aaya
ladkhadana koi sikha koi sikha masti
ham ko aaya to faqat dhaal ke piina aaya
khush ho ai chashm ki hai fasl yahi rone ki
muzhda ai abr ki savan ka mahina aaya
pi hi leni thi jo mai-khane ko aa nikla tha
tujh ko sohbat ka bhi zahid na qarina aaya
chaha jo kuchh vo zamane ne kiya naqsh is par
main to saada liye is dil ka nagina aaya
aaj tak daman-e-gul chaak hai khayyat-e-azal
tujh ko khilat bhi hasinon ka na siina aaya
dekh charon taraf apne ki tamasha kya hai
le ke is bazm men tu dida-e-bina aaya
munh pe ashiq ke mohabbat ki shikayat naseh
baat karne ka bhi nadan na qarina aaya
kis tarah milte hain bichhdon se dikha denge kabhi
dil men vo tiir agar chiir ke siina aaya
dhaal kar dete hain kis ko kise be-dhale hue
mere saaqi ko to ye bhi na qarina aaya
zindagi karte hain kis tarah ye sikho is vaqt
‘shad’ kya nafa agar marne pe jiina aaya
Leave a Reply