ankhon men nami aa.i chehre pe malal aaya
ai jalva-e-mahbubi jab tera ḳhayal aaya
tha un ki tavajjoh men har jazb-e-talab mera
har chand mo.addab thi jab mera saval aaya
is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki
ushshaq ke honTon pe kyuun harf-e-saval aaya
ya un ke hasin abru aa.e hain tasavvur men
ya mahfil-e-hasti men raḳhshanda hilal aaya
ham sajda jahan kar len ka.aba vahin ban jaa.e
miT kar tiri ulfat men ham ko ye kamal aaya
ab hashr-ba-daman hai har mahfil-e-tanha.i
tum aa.e to furqat ki azmat pe zaval aaya
phir rang-e-junun barsa phulon ki qabaon par
ye kaun gulistan men ashufta nihal aaya
paigham-e-‘fana’ laaya taskin-e-dil-e-muztar
vo aa ga.e nazron men jab vaqt-e-visal aaya
Leave a Reply