lamha lamha bikhar raha huun main
apni takmil kar raha huun main
ḳhuub se ḳhub-tar hai ru-e-hayat
na.e singhar kar raha huun main
khulte jaate hain zehn ke auraq
tajrabon se guzar raha huun main
tera hona na maan kar goya
tujh ko taslim kar raha huun main
ḳhud se na-ashna sahi lekin
tujh se kab be-ḳhabar raha huun main
mahv aisa huun ḳhud-parasti men
goya tujh se mukar raha huun main
Leave a Reply