• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lahu Se Uth Ke Ghataon Ke dil Baraste Hain

Lahu Se Uth Ke Ghataon Ke dil Baraste Hain

aziz-bano-darab-wafa

lahu se uth ke ghataon ke dil baraste hain

badan chhaton ki tarah dhuup men jhulaste hain

ham aise ped hain jo chhanv bandh kar rakh den

shadid dhuup men khud saae ko taraste hain

har ek jism ke charon taraf samundar hai

yahan ajiib jaziron men log baste hain

sabhi ko dhun hai ki shishe ke bam-o-dar hon magar

ye dekhte nahin patthar abhi baraste hain

baha ke le gaya sailab raste jin ke

vo shahr apne khayalon men ab bhi baste hain

maaal kya hai ujalon ke un dafinon ka

jinhen chhuen to andheron ke naag daste hain

ajiib log hain kaghaz ki kashtiyan gadh ke

samundaron ki bala-kheziyon pe hanste hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mahakta Hua Aaj Sara Chaman Hai

Guzar Gaya Jo Nazar Se Nazar Ka Hissa Hai

Ye Kaise Sanahe Ab Pesh Aane Lag Gae Hain

Mujhko Taufiq-E-Intizar Shadid

Kisu Ko Mujhse Ne Mujhko Kisu Se Kaam Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet