lahu-luhan sa manzar hamari aankh men hai
hamara jalta hua ghar hamari aankh men hai
fasad men jo tabahi hui hamare yahan
usi ka aaj bhi ik dar hamari aankh men hai
hamari samt uchhala gaya tha jo ik din
lahu se surkh vo patthar hamari aankh men hai
nizam hind ka bigda hai jab se ai ‘ahsan’
tabhi se surkh samundar hamari aankh men hai
use na chhin saka koi mujh se ai ‘ahsan’
ubharta dubta akhtar hamari aankh men hai
Leave a Reply