lahu ko dil ke jo sarf-e-bahar kar na sake
ilaaj gardish-e-lail-o-nahar kar na sake
ḳhuda na karda gire koi apni nazron se
na ho ki apna koi e.atibar kar na sake
bhar aa.i aankh sar-e-bazm ho ga.e ḳhamosh
ham un se baat jo begana-var kar na sake
vo aa ga.e to simaT aa.e sab nigahon men
hazaron ḳhvab ki jin ka shumar kar na sake
tumhare samne aksar rahi hai nok-e-zaban
vo ek baat jo payan-e-kar kar na sake
huiin jo qalb men paivast ho gaya chhalni
vo hasraten ki jinhen ashk-bar kar na sake
harif-e-kam-o-dahan ban ga.iin fana na huiin
vo talḳhiyan ki jinhen ḳhush-gavar kar na sake
kisi se tark-e-ta.alluq junun ki shah pa kar
hazar baar kiya ek baar kar na sake
Leave a Reply