lahu ankhon men jamta ja raha hai
ye dariya ḳhushk paḌta ja raha hai
jise sadiyon ki vus.at hai mayassar
vo lamhon men simaTta ja raha hai
jise dil men utarna chahiye tha
vahi dil se utarta ja raha hai
safina phir se koi zid ke chalte
havaon se ulajhta ja raha hai
tamasha-gar to hain maujud lekin
ye majma.a kyuun ukhaḌta ja raha hai
tumhara aks hai ya koi jaadu
har a.ina sanvarta ja raha hai
Leave a Reply