barasti aag se kuchh kam nahin barsat savan ki
jala kar ḳhaak kar deti hai dil ko raat savan ki
uThi hain kaali kaali badliyan kya tum na aaoge
guzar ja.egi kya tanha bhari barsat savan ki
kisi ki yaad aati hai liye ashkon ki tughyani
mili hai jholiyan bhar kar hamen saughat savan ki
Dagar sunsan bijli ki kaḌak pur-haul tariki
musafir raah se na-ashna barsat savan ki
tumhare muntazir rahte hain savan ke hasin jhule
kiya karti hai yaad aksar tumhen barsat savan ki
tahi-dasti ka aalam jam-e-mai saaqi na paimana
ye kis ne chheḌ di aise men ‘rahbar’ baat savan ki
Leave a Reply