lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz
ja chuki hai fasl-e-gul aur main huun divana hanuz
chain kaisa qabr men sar par hai roz-e-baz-purs
dastan-e-dard-e-hasti ko hai dohrana hanuz
ab bhi sharh-e-soz-e-dil karti hai parvane ki ḳhaak
sun rahi hai sham.a ḳhamoshi se afsana hanuz
phenk di saari sharab ai vaa.e be-sabri-e-shauq
lab tak aane bhi nahin paaya tha paimana hanuz
kya miTe ummid-e-tasir-e-dua ka iztirab
dil hai shan-e-rahmat-e-bari ka divana hanuz
zindagi aḳhir hui lekin havas ki had nahin
qabr banne ko hai aur banta hai kashana hanuz
na-umidi bhi mudava be-qarari ka nahin
mashghala dil ka hai tum ko yaad farmana hanuz
umr-bhar khaya fareb-e-dosti lekin ye dil
rasm-o-rah-e-ahl-e-alam se hai begana hanuz
ziist ki har saans hoti hai ham-aghosh-e-fana
har-nafas hai maut aur baaqi hai mar jaana hunuz
kahte kahte arsa-e-mahshar tak aaya huun magar
na-mukammal hai gham-e-hasti ka afsana hanuz
paiham ankhon ka jhapakna kya juz ima-e-sujud
in isharon se magar ‘mani’ hai begana hanuz
Leave a Reply