ab sochta huun ja.un to ja.un kidhar ko main
ai kaash chhoḌta na tiri rahguzar ko main
dil gham ka aa.ina hai nazar dil ka aa.ina
kaise chhupa.un soz-e-nihan ke asar ko main
aalam tamam ek fareb-e-nigah hai
ab kya dikha.un chashm-e-haqiqat-nigar ko main
mad.hoshiyon men TuuT gaya dil ka aa.ina
ab kaise munh dikha.unga a.ina-gar ko main
un ki nazar ḳhuda na kare munfa.il ho ‘kaif’
dekhun na kaash jazba-e-gham ke asar ko main
Leave a Reply