Lab-E-KHamosh Ko Arman-E-Guftugu Hi Sahi

lab-e-ḳhamosh ko armān-e-guftugū hī sahī

jigar meñ hausla-e-arz-e-ārzū hī sahī

asar qubūl hai mujh ko badaltī qadroñ kā

rag-e-hayāt meñ aslāf kā lahū hī sahī

namāz-e-ishq adā ho rahī hai maqtal meñ

ye pur-ḳhulūs ibādat hai be-vuzū hī sahī

use bhī ḳhauf hai gulshan meñ zard mausam kā

vo surḳh phuul kī mānind sho.ala-rū hī sahī

junūn-e-ishq ke lashkar se haar jā.egī

sipāh-e-hosh-o-ḳhirad laakh jañg-jū hī sahī

vo merī tishnagī-e-dil bujhā nahīñ saktā

khanaktā jaam chhalaktā huā subū hī sahī

maiñ ek harf-e-malāmat huuñ us ke dāman par

vo merī paak mohabbat kī aabrū hī sahī

mirī nigāh kā markaz nahīñ to kuchh bhī nahīñ

vo ḳhud-pasand nigāhoñ meñ ḳhūb-rū hī sahī

‘sabā’ ki shā.ir-e-ḳhush-fikr hai magar gumnām

har ek us se hai vāqif vo ḳhush-gulū hī sahī

Leave a Comment