• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lab-E-Furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai

Lab-E-Furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai

lab-e-furat vahi tishnagi ka manzar hai

vahi husain vahi qatilon ka lashkar hai

ye kis maqam pe laa.i hai zindagi ham ko

hansi labon pe hai siine men gham ka daftar hai

yaqin kis pe karen kis ko dost Thahra.en

har astin men poshida koi ḳhanjar hai

gila nahin mire honTon pe tang-dasti ka

ḳhuda ka shukr mira dil abhi tavangar hai

koi to hai jo dhaḌakta hai zindagi ban kar

koi to hai jo hamare dilon ke andar hai

use qarib se dekha to ye hua malum

vo bu-e-gul nahin shamshir-e-bad-e-sarsar hai

samajh ke aag lagana hamare ghar men tum

hamare ghar ke barabar tumhara bhi ghar hai

miri jabin ko haqarat se dekhne vaale

miri jabin se tira astan munavvar hai

tumhare qurb ki lazzat nasib hai jis ko

vo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai

hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain ham

hamare ḳhuun ka pyasa har ek ḳhanjar hai

vo mere samne aa.e to kis tarah aa.e

koi libas hai us ka na koi paikar hai

har ik bala se bacha.e hue hai jo ham ko

hamare sar pe ye maan ki dua ki chadar hai

bhaTak raha huun main sadiyon se dasht-e-ghurbat men

koi to mujh ko bata.e kahan mira ghar hai

abhi ‘hafiz’ gulabon ki baat mat kiije

lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apne miT Jaane Ka Idrak Liye Phirta Hun

Aap Aur Hum Salam Bhi Na Karen

Dil Mein Apne Husn-E-Alamgir Dekh

Dars Lenge Dil Ke Ek Be-Rabt Afsane Se Kya

poet

Bahaar-E-Gulshan-E-Ayyam Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet