Lab Chup Hain to Kya Dil Gila-Pardaz Nahin Hai

lab chup haiñ to kyā dil gila-pardāz nahīñ hai

sab kuchh hai ḳhamoshī meñ ik āvāz nahīñ hai

kitnā hī vo jhiḌkeñ maiñ kahe jaatā huuñ apnī

ġhairat mirī ab kuchh ḳhalal-andāz nahīñ hai

pahūchuñgā zarūr aaj maiñ us shoḳh ke ghar meñ

dīvār to nīchī hai jo dar-bāz nahīñ hai

is samt maraz ishq kā anjām ko pahūñchā

is samt tavajjoh kā bhī āġhāz nahīñ hai

kyā sāda-dilī hai ki tirī chīn-e-jabīñ ko

maiñ naaz samajhtā huuñ magar naaz nahīñ hai

marnā thā ki sehat maraz-e-ishq se paa.ī

ab kuchh bhī tabī.at nā-sāz nahīñ hai

kyuuñ sach ye kahā us ne ki ulfat nahīñ mujh se

ye aib hī zālim meñ ki dam-bāz nahīñ hai

rote hue jiine se ajal ishq meñ achchhī

murde meñ ye ḳhūbī hai ki ġhammāz nahīñ hai

zillat mujhe manzūr magar aa.uuñ tire ghar

kyā harj mohabbat kā jo e.azāz nahīñ hai

kyuuñ baiThe haiñ ham vāda-e-mahbūb pe ḳhush ḳhush

kyā kho.e talavvun bhī dar-andāz nahīñ hai

ai ‘shauq’ kahe detī hai kuchh shakl ḳhamoshī

chup kyuuñ ho agar dil meñ koī raaz nahīñ hai

Leave a Comment