raat ki khuli khidki
band hone vaali hai
chand ke katore men
os bharne vaali hai
ye ajab safar is ka
ab tamam hota hai
la-zaval hone ka
dekho kya bahana hai
kal bhi ik haqiqat tha
aaj bhi fasana hai
asman ki janib
sab ke haath uthte hain
us ke khuun ki surkhi
barg-o-bar laegi
be-namaz bandon par
yaani un darindon par
har qadam masaib ka
intizar laega
Leave a Reply